Free Hindi Courses & Business Ideas – Hindilearners

Top Menu

Main Menu

  • Home
  • Contact Us
Sign in / Join

Login

Welcome! Login in to your account
Lost your password?
Register

Lost Password

Back to login

Register

Back to login

logo

  • Home
  • Contact Us
  • Free Graphic Designing Courses in Hindi

  • Best instagram bio for boys stylish 2022

  • Best Share Market Courses Online Free in Hindi 2022

  • Best free Udemy courses 2022

  • Free Digital Marketing courses in Hindi

Free Courses in Hindi
Home›Free Courses in Hindi›Best Share Market Courses Online Free in Hindi 2022

Best Share Market Courses Online Free in Hindi 2022

By shoaeb
October 2, 2022
31
0
Share:
Share Market Courses Online Free in Hindi

Best Share Market Courses Online Free in Hindi 2022

Table of Contents

  • Best Share Market Courses Online Free in Hindi 2022
  • Share Market me hone wale fayde aur nuksan
  • Stock market for Beginners
  • Share Market Learn A to Z
  • Risk aur Return
  • Fundamental Analysis
  • Live Trading
      • Free Graphic Designing Courses in Hindi
      • Free Digital Marketing courses in Hindi
  • Best Share Market Course in Hindi
  • Indian stock market courses online free
  • Intraday trading course online free in Hindi

Share Markets ke baare mein janane ke ichchhuk hain? To aap stock market courses ke saath online shuruaat kar sakate hain, Share Market Course Online Free in Hindi, aapako equity me trading aur investing ke baare mein sab kuchh samajhane me madad karate hain.

Bahut se logo ko shayad lagta hoga ki Share Market ek Jua hai lekin aisa nahi hai. Jabki yeh, kisi bhi company ka share aapki us company me hissedari ko dikhata hai. Jis se us company ka fayda ya nuksan aapka bhi fayda ya nuksan hoga. To aaiye jante hai, Share Market Course Online Free in Hindi ke niche di gayi list me kaun-kaun se courses hai.

 

Share Market Course 1

Title: Stock Market classes with Pranjal Kamra

Channel: Pranjal Kamra

Total Videos: 23

Share Market me hone wale fayde aur nuksan

Share Market Course Online Free in Hindi ke is course me sabse pehli list par Pranjal Kamra ka Maan na hai ki, agar base acha ho to buildings achi banti hai, us hi tarah is course me aapka base itna strong kiya jayega ki aapki khub sari buildings ban jaye.

Ye kafi asani se or asan bhasha me seekhate hai. Market me hone wale fayde aur nuksan dono sath me batate hai. Aapka nuksaan kam se kam ho aur fayda jyada se jyada. Share Market kitna risky hai aur aapko kaise start karna chaiye? Ya fir  books ya magazine kaun si padhni chhaiye jaise sawalo ke jawab mil jayenge.

 

Share Market Course 2

Title: Stock Market Series in Hindi (Zero to Hero)

Channel: Fin Baba

Total Videos: 56

Stock market for Beginners

Is course me behtareen slide show ke sath asani se samjh sakte hai. Ye basic course 5 modules me bata hua hai.

  1. Stock market for Beginners
  2. Future and Options
  3. Technical Analysis
  4. Fundamental Analysis
  5. investment & Earning Strategy

Agar aap thora bahut jante hai share market ke bare me to aap aasani se Module 2 se shuru kar sakte hai. Lekin agar aap naye hai to 1st module de hi shuru kare.

 

Share Market Course 3

Title: Learn2Trade |The A2Z of Trading

Channel: Vivek Bajaj

Total Videos: 50

Share Market Learn A to Z

Share Market Course Online Free in Hindi ke is course me Vivek Bajaj ke sath Trade karna seekhenge. Yeh course un sabhi beginners ke liye hai, Jo share market me ek trader ban ke shuruwat karna chahte hai. Is course me Trading ke basic bato pe discussion karenge, jo technical analysis ki power ke liye ek trading setup ko kaise dekhna chahiye batata hai.

Ek beginner hote hue, share bazar me shuruwat karne se pehle apne trading objective ko define karna zaruri hai. Apna trading setup dikhane ke bad, yeh dikhayenge ki, market me tezi se bullish aur bearish trends ki pehchan kaise kare. Ya fir, Line charts ka istemal kar ke breakouts aur breakdown kaise kiya jata hai.

 

Share Market Course 4

Title: Master Investor Series

Channel: Asset Yogi

Total Videos: 50

Risk aur Return

Mukul Malik is course me Stock Investing concepts, Risk aur Return ki knowledge di jati hai. Aur kis tarah apne dar ko duur kar ke, aap kaise sahi samjh ke sath invest kar sakte hai. Ye batate hai ki stock market gambling nahi hai.

High quality video ke sath jo subjects aap complex samjhe hai us ko kafi saral bhasha me aapko bataya jata hai.

 

Share Market Course 5

Title: Hindi: Fundamental Analysis

Channel: Money Bee Institute Pvt. Ltd

Total Videos: 32

Fundamental Analysis

Fundamental Analysis ko asani se stock market ke bare me batata hai. Jo commerce background ke bhi nahi hai to wo bhi is course ko asani se samjh sakte hai. Profit aur nuksan ke adhar pe company profit me hai ya nahi count karta hai. Videos projector ke sath samjhni aur asan ho jati hai.

 

Share Market Course 6

Title: Stock Market Free Course For Beginners to Advance

Channel: Power of Stocks

Total Videos: 5

Live Trading

Subasish apne account se trade karte hai aur live trading kar ke dikhate hai. Share Market Course Online Free in Hindi ke is course me Practical dekhne se share market ko ache se seekh pate hai.

Instrument kya hota hai? Intraday positional ya fir Holding kya hai? Ya fir agar trader ban na chahite hai to fundamental dekhna chahiye ya fir technical intraday trade dekhna chahiye jaise kai sawalo ke jawab dete hai. Aur sath hi ye aapko proper management seekhayege.

 

Share Market Course 7

Title: Basic of Stock Market Course

Channel: CHATTAN CROWN COMPNAY

Total Videos: 19

Ye technical analysis ka beginning course hai. Share Market Course Online Free in Hindi ke is course me Akshay Agrawal aapko share prices ko predict karna sikhayenge. Ye batate hai hai ki share market gambling nahi hai. Ye aapko ache example ke sath seekhate hai, jis se samjh pana aur jyada asan ho jata hai.

 

Dosto Agar App Free mai sikh kar apni life ko aage badana cahte ho to aap ke liye kuch free courses niche diye gaye hai jise aap ek baar jarur dekh sakte hai 

Free Graphic Designing Courses in Hindi

Free Digital Marketing courses in Hindi

 

Share Market Course 8

Title: Price Action Trading Course (Forex & Indian Share Market)

Channel: Financial Hub India

Total Videos: 37

Best Share Market Course in Hindi

Is course ke andar, aapko technical analysis software ka istemal kar trading karna seekhayege.  Forex aur Indian share market kaise kaam karta hai. Indian stock market ke hisab se kis tarah se trading karni chahiye uski bhi jankaari deta hai.

 

Share Market Course 9

Title: Fundamental Analysis Course

Channel: Mindyourinvestment.com

Total Videos: 31

Fundamental Analysis ka istemal kar ke share market me trading kaise kare. Slide shows ki madad se kisi company ke financial evaluation kaise karte Hai. Aur uske target prices aur future value predict karte hai.

Company ke financial balance sheet kaha se milenge. In balance sheet ko kaise padte hai taki financial health aur growth prospect ko nikal paye. Dusre company ke balancesheet sath hi sath nikal payenge.

 

Share Market Course 10

Title: Share Market Complete Course Hindi

Channel: Trading with Vivek

Total Videos: 28

Indian stock market courses online free

Share Market Course Online Free in Hindi ke Is course me Vivek ji aapko ek pure proper series ke zariye, jyadatar baate cover karte hue stock market ke bare me batata hai. Is course ka maksad basic seekh ke aage badhna hai.

Company ke shares akhir kya hote hai jaise basic savalo k jawab se aap sab seekh sakte hai. 2 type ke stock exchange hote hai, National stock exchange (NSC) aur Bombay stock exchange (BSC) ke bare me batayenge.

 

Share Market Course 11

Title: Stock Market & Mutual Fund Guide for beginners in Hindi

Channel: Tube Guru

Total Videos: 12

Yeh course aapko choti investment kar ke, jyada se earn karna seekhayega. Share Market Course Online Free in Hindi ke is course me kis tarah aap shares upstox pe pe buy aur sell kar sakte hai. Mutual fund aur SIP kya hai aur ise kaise istemal kare Jaise kai baate asani se seekhate hai.

 

Share Market Course 12

Title:  Basic of Stock Market/ Share Bazar ka Gyan

Channel: Fin91

Total Videos: 18

Naye log kaise share market me enter kare. Ye kidhar invest karte hai aur kyu karte hai uske bare me bhi batayenge. Sare basic courses is field se related aapko mil jayenge. Ye aapko Retirement plan karne me aapki madad karte hai. Aur kehte hai kam se kam 14 se 15 crore aapke pass hone chahiye, jab bhi aap kabhi retire ho. Jo ki is hi stock market se aayega.

 

Share Market Course 13

Title: D K SINHA ZERO TO HERO

Channel: D K Sinha

Total Videos: 130

Isme aapko stock market ke liye, Technical analysis ka complete course beginners se advanced level pe aapko mil jata hai. DK Sinha ka maan na hai ki, Jin course ko karne ke liye log Mumbai jate hai, itna paisa kharch karte hai. Wo hi course sirf yahi YouTube pe free me seekh sakte hai.

DK ka maan na hai ki, bhale hi aapka koi bhi financial background na ho, chahe wo isse related bhi na ho, tab bhi aap share market me apni ek jagha bana sakte hai.

Is course me, aapko kafi details ke sath seekhaya jata hai. To agar aap seriously ho kar is line me career banana chahte hai, to ye course aapke liye sahi rahega.

 

Share Market Course 14

Title: Basic of Stock Market by CA Rachana Ranade

Channel: CA Rachana Phadke Ranade

Total Videos: 37

Share Market Course Online Free in Hindi ke is course me, ye technical analysis ka beginning course hai. Jisme Akshay Agrawal aapko share prices ko predict karna sikhayenge. Ye batate hai hai ki, share market gambling nahi hai. Ye aapko ache example ke sath seekhate hai.

 

Share Market Course 15

Title: Share Market Mastery

Channel: Pushkar Raj Thakur

Total Videos: 178

Pushkar Raj Thakur aapko in videos me aapke sare doubts clear karenge. Aap kaise stock market se paise kaise kama sakte hai. Ye videos kafi jyada informative hai. Is course ko karte time acha hoga agar aap copy aur pen leke baithe. Kyuki inke samjhane ka tareeka kafi acha hai, aur aap asani se samjh sakte hai.

 

Share Market Course 16

Title: Intraday Profit Master- Learn Intraday  trading from start

Channel: Investobull

Total Videos: 11

Intraday trading course online free in Hindi

Intraday trading aap beginning se kis time se shuru kar sakte hai. Aur aap seekhenge, Intraday trading ki prerequisites kya hoti hai? Stop Loss ki kya importance hai? Kaise sahi stocks ko chune? Charts aur Volumes ke bare me bhi aap iska sath seekhenge.

 

Share Market Course 17

Title: INTRADAY TRADING

Channel: IFMC Institute

Total Videos: 33

Share Market Course Online Free in Hindi me, Agar aap pehle ki tarah class me seekhna pasand karte hai. Aur kisi Institute me seekhna chahte hai, to bina koi fees bhare aur kisi institute me jaye aap is class ka hissa ban sakte hai. Ghar baithe class me stock market me Intraday trading seekhne ka is se behtar tareeka nahi ho sakta.

 

Share Market Course 18

Title: Full Trading Course

Channel: Neeraj Joshi

Total Videos: 17

Ye course aapko 15-20 concept ke sath trading karna seekhata hai. Strategies, Indicator, Candlestick Pattern aur Chart Pattern ke bare me batata hai.

Lekin Neeraj Joshi mante hai ki, bahut sare concept zaruri nahi lekin 8-10 concept me aap expert hone chhaiye, bhale hi aapko sare ke sare concept na pata ho. Lekin jo aapko pata hai, usme aap expert hone chhaiye. To yeh course, aapko zaruri aane wale basic concepts ke bare me bataya hai, jo ki stock market me zarur pata hona hi chhaiye.

 

Share Market Course 19

Title: Stock Market for beginners full course in Hindi

Channel: Kartik Patel

Total Videos: 9

Agar aap unme se hai, jo lambi lambi videos dekhna pasand nahi karte. To ye course aapke liye hai. Is course me choti choti videos ke sath, aapko stock Market ke bare me seekhaya jata hai.

Kartik Patel ka kehna hai ki, paise ghar me ya saving account me rakhe rehne ka koi fayda nahi hai. Jabki hum use stock market me jake invest kar economy ko fayda to dete hai hi, sath hi aapke paise bhi grow honge. Ye course aapko investment kyu karna chahiye wo bhi batata hai.

 

Share Market Course 20itle:  All About Intraday Free Course

Channel: All About Trading (Ankit Dwivedi)

Total Videos: 67

Share Market Course Online Free in Hindi ke is akhiri course me, Agar aap kisi dost se seekhna chahte hai, to ye course aapke liye hi hai. Ankit Dwivedi ji ek dost ban kar aapko seekhate hai. Aapko Aisa nahi lagega ki aap kisi teacher se seekh rahe hai. Balki, aapko lagega kisi dost se hi aap seekh rahe hai. Ankit ek highschool fail hai, lekin wo kehna chahte hai ki agar mai seekh sakta hu to aap mujhse bahut Jayda behtar hai.

 

 

Tagsshare marketshare market coursestrading course
Previous Article

Best free Udemy courses 2022

Next Article

Best instagram bio for boys stylish 2022

0
Shares
  • 0
  • +
  • 0
  • 0
  • 0
  • 0

shoaeb

Related articles More from author

  • Free Digital Marketing Courses in Hindi
    Free Courses in Hindi

    Free Digital Marketing courses in Hindi

    September 7, 2022
    By shoaeb
  • Free Graphic Designing Courses in Hindi
    Free Courses in Hindi

    Free Graphic Designing Courses in Hindi

    November 8, 2022
    By shoaeb
  • TOP 10 FREE PHOTOSHOP COURSES IN HINDI
    Free Courses in Hindi

    Top 10 Free Photoshop Courses in Hindi

    September 2, 2022
    By shoaeb
  • Best free udemy courses 2022
    Free Courses in Hindi

    Best free Udemy courses 2022

    September 15, 2022
    By shoaeb

Leave a reply Cancel reply

You may interested

  • Free Digital Marketing Courses in Hindi
    Free Courses in Hindi

    Free Digital Marketing courses in Hindi

  • Best instagram bio for boys stylish 2022
    Instagram Bio

    Best instagram bio for boys stylish 2022

  • TOP 10 FREE PHOTOSHOP COURSES IN HINDI
    Free Courses in Hindi

    Top 10 Free Photoshop Courses in Hindi

© Copyright Hindi Learners. All rights reserved.